اردو हिंदी
Hijr hai ab tha yahin mein zar hum pahlu-e-dost | Shaahi Shayari
hijr hai ab tha yahin mein zar hum pahlu-e-dost

Ghazal

Hijr hai ab tha yahin mein zar hum pahlu-e-dost

Rasheed lakhnavi

;

hijr hai ab tha yahin mein zar hum pahlu-e-dost
mere bistar par mujhe taDpa rahi hai bu-e-dost

KHatm zinat ho gai mashshata ne le lin balaen
gesu-e-pur-KHam ne chume shana-o-bazu-e-dost

imtihan quwwat ka hai talwar uThai jati hai
ab to is qabil hue hain panja-o-bazu-e-dost

zaKHm khata baDh ke main aur wo lagata baDh ke tegh
dil mera baDhta to baDhti quwwat-e-bazu-e-dost

ghaT gaya yan KHun aur wan fasd ka saman hua
aa gaya ghash mujh ko jab bandha gaya bazu-e-dost

jaan aadhi rah gai dekhi jo ghusse ki nazar
dil pe ek bijli giri jab hil gae abru-e-dost

mujh ko jin se ishq hai un ko hai mujh se dushmani
yan wo aate the ki uljhe panw gesu-e-dost

kaba jis ko log kahte hain makan hai yar ka
arsh-e-azam nam rakhte hain zamin-e-ku-e-dost

mere sine mein hui kyun KHana-e-dil ki bina
ye makan banne ke qabil thi zamin-e-ku-e-dost

zaKHmi-e-ulfat hun main sehat nahin hogi mujhe
bhar rahi hai dil ke zaKHmon mein hawae ku-e-dost

baKHshti hai ruh ko har martaba ek tazgi
mujh ko marne hi nahin deti hawa-e-ku-e-dost

talib-e-didar hain hai saf aankhon se ayan
go ki munh se kuchh nahin kahte gada-e-ku-e-dost

dushman iza dete hain har martaba mujh ko 'rashid'
ghussa aata hai magar main dekhta hun su-e-dost