hijr gham ka bayan hai goya
yas ki dastan hai goya
us ke jaur-o-sitam ka kya kahna
zulm mein aasman hai goya
panw phailae KHub sote hain
kunj-e-marqad makan hai goya
ruKH se zahir hai haal-e-dard-e-firaq
qalb ka tarjuman hai goya
KHal-e-ariz pe yun numayan hai
dagh dil ka nishan hai goya
hijr mein aah us gul-e-tar ke
rang-e-ruKH zafran hai goya
dard-e-dil kyun kahen na hum un se
jab hamari zaban hai goya
arsh se aamad-e-mazamin hai
ye zamin aasman hai goya
'barq' tum ne ghazal ye KHub kahi
lucknow ki zaban hai goya
Ghazal
Hijr gham ka bayan hai goya
Shyam Sunder Lal Barq