hijr-e-jaanan mein ji se jaana hai
bas yahi maut ka bahana hai
kyun na barsaen ashk dida-e-tar
aatish-e-ishq ka bujhana hai
ho adu jis pe kijiye ehsan
kuchh ajab tarah ka zamana hai
yaad dilwa ke dastan-e-visal
aashiq-e-zar ko rulana hai
rakh dila roz-o-shab umid-e-visal
ranj-e-furqat agar bhulana hai
jaan jati hai jis jagah sab ki
usi kuche mein apna jaana hai
koi dam mein adam ko hun rahi
aa agar tujh ko ab bhi aana hai
KHak-sari na chhoDna 'rana'
ek din KHak hi mein jaana hai
Ghazal
Hijr-e-jaanan mein ji se jaana hai
Mardan Ali Khan Rana