hijabaat uTh rahe hain darmiyan se
zamin Takra na jae aasman se
nikala kis KHata par gulsitan se
hamein ye puchhna hai baghban se
wahin jaana hai aae hain jahan se
hain waqif manzil-e-umr-e-rawan se
bahaar aane ki mangi thin duaen
bahaar aai magar bad-tar KHizan se
jo hain na-ashna-e-nazm-e-gulshan
unhin ko faede hain gulistan se
abhi murda nahin zauq-e-asiri
qafas ka samna hai aashiyan se
jahan kanTon mein uljhe apna daman
bayaban achchha aise gulistan se
ghamon hi se KHushi hoti hai paida hai
bahaaren banti hain daur-e-KHizan se
sahaara lun agar diwangi ka
guzar jaun had-e-kaun-o-makan se
numayan hai wahi rajat-pasandi
nizam-e-zindagi badla kahan se
lipaT jaunga main daman se un ke
sabaq sikha hai KHak-e-astan se
bhaTakta phir raha hun is tarah main
ki jaise chhuT gaya hun karwan se
chaman mein phir banaenge nasheman
hamein zid ho gai hai aasman se
watan dushman inhen kyun kar na samjhen
jinhen hai dushmani urdu zaban se
wahi hai bais-e-taklif 'sajid'
milin thin rahaten jis gulsitan se
Ghazal
Hijabaat uTh rahe hain darmiyan se
Sajid Siddiqi lakhnavi