hijab uTThe hain lekin wo ru-ba-ru to nahin
sharik-e-ishq kahin koi aarzu to nahin
ye KHud-e-farebi-e-ehsas-e-arzu to nahin
teri talash kahin apni justuju to nahin
sukut wo bhi musalsal sukut kya mani
kahin yahi tera andaz-e-guftugu to nahin
unhen bhi kar diya betab-e-arzu kis ne
meri nigah-e-mohabbat kahin ye tu to nahin
kahan ye ishq ka aalam kahan wo husn-e-tamam
ye sochta hun ki main apne ru-ba-ru to nahin
nigah-e-shauq se ghafil samajh na jalwaon ko
sharab kuchh bhi ho be-gana-e-subu to nahin
KHushi se tark-e-mohabbat ka ahd le ai dost
magar ye dekh tera dil lahu lahu to nahin
na gard-e-rah hai ruKH par na aankh mein aansu
ye justuju bhi sahi us ki justuju to nahin
chaman mein rakhte hain kanTe bhi ek maqam ai dost
faqat gulon se hi gulshan ki aabru to nahin
Ghazal
Hijab uTThe hain lekin wo ru-ba-ru to nahin
Ummeed Fazli