hijab-e-rang-o-bu hai aur main hun
ye dhoka tha ki tu hai aur main hun
maqam-e-be-niyazi aa gaya hai
wo jaan-e-arzu hai aur main hun
fareb-e-shauq se aksar ye samjha
ki wo begana-KHu hai aur main hun
kabhi sauda tha teri justuju ka
ab apni justuju hai aur main hun
kabhi dekha tha ek KHwab-e-mohabbat
ab us ki aarzu hai aur main hun
faqat ek tum nahin to kuchh nahin hai
chaman hai aabju hai aur main hun
phir us ke baad hai is hu ka aalam
bas ek had tak hi tu hai aur main hun
Ghazal
Hijab-e-rang-o-bu hai aur main hun
Asar Lakhnavi