اردو हिंदी
Hijab-e-raaz faiz-e-murshid-e-kaamil se uThta hai | Shaahi Shayari
hijab-e-raaz faiz-e-murshid-e-kaamil se uThta hai

Ghazal

Hijab-e-raaz faiz-e-murshid-e-kaamil se uThta hai

Sher Singh Naaz Dehlvi

;

hijab-e-raaz faiz-e-murshid-e-kaamil se uThta hai
nazar haq-ashna hoti hai parda dil se uThta hai

jala jata hun bar-e-soz-e-gham mushkil se uThta hai
wo ashkon se nahin bujhta jo shola dil se uThta hai

kahan KHanjar bhi dast-e-nawak-e-qatil se uThta hai
nazakat se hina ka bar bhi mushkil se uThta hai

ye kis ne Dal di bahr-e-talatum-KHez mein kashti
ye shor-e-harche-baada-e-baad kyun sahil se uThta hai

kashida jis se tum hote ho koi ruKH nahin karta
giraate ho nazar se tum jise mushkil se uThta hai

ye aansu kasm-pursi kis ke matam mein bahati hai
janaza aaj kis ka kucha-e-qatil se uThta hai

magar tasir paida ho gai majnun ke nalon mein
ki parda aaj dast-e-laila-e-mahmil se uThta hai

ruKH-e-be-parda un ka yaad aata hai shab-e-hijran
hijab-e-abr jab ru-e-mah-e-kaamil se uThta hai

laga di aatish-e-KHamosh kya soz-e-mohabbat ne
ilahi KHair dud-e-ah-e-sozan dil se uThta hai

kiya sharminda itna saKHt-jaani ne nazakat se
KHajalat se sar un ke samne mushkil se uThta hai

kaleja tham len didar-e-jaanan dekhne wale
bas ab parda ruKH-e-rashk-e-mah-e-kaamil se uThta hai

chale ahbab aaghosh-e-lahad mein chhoD kar mujh ko
ki hamdardi ka jazba pahli hi manzil se uThta hai