hijab dur tumhaara shabab kar dega
ye wo nasha hai tumhein be-hijab kar dega
mera KHayal mujhe kaamyab kar dega
KHuda isi ko zuleKHa ka KHwab kar dega
meri dua ko KHuda mustajab kar dega
tera ghurur mujhe kaamyab kar dega
ye dagh khae hain jis ke firaq mein hum ne
wo ek nazar mein unhen aaftab kar dega
kiya hai jis ke laDakpan ne dil mera TukDe
kaleja KHun ab us ka shabab kar dega
suni nahin ye masal ghar ka bhedi lanka Dhae
tujhe to dil ki KHabar iztirab kar dega
na dekhna kabhi aaina bhul kar dekho
tumhaare husn ka paida jawab kar dega
kisi ke hijr mein is dard se dua mangi
nidaen aain KHuda kaamyab kar dega
gham-e-firaq mein girye ko shaghl samjha tha
KHabar na thi meri miTTi KHarab kar dega
kise KHabar thi tere zulm ke liye allah
mujhi ko roz-e-azal intiKHab kar dega
uTha na hashr ke fitna ko chaal se nadan
tere shahid ka be-lutf KHwab kar dega
wo galiyan hamein den aur hum duaen den
KHajil unhen ye hamara jawab kar dega
jawab-e-saf na de mujh ko ye wo aafat hai
mere sukun ko bhi iztirab kar dega
kahin chhupae se chhupta hai lal gudDi mein
farogh-e-husn tujhe be-naqab kar dega
teri nigah se baDh kar hai charKH ki gardish
mujhe tabah ye KHana-KHarab kar dega
Duboegi mujhe ye chashm-e-tar mohabbat mein
KHarab kaam mera iztirab kar dega
raqib nam na le ishq ka jata dena
ye shola wo hai jala kar kabab kar dega
wafa to KHak karega mera udu tum se
wafa ke nam ki miTTi KHarab kar dega
ajib shaKHs hai pir-e-mughan se mil zahid
nashe mein chur tujhe be-sharab kar dega
baDon ki baat baDi hai hamein nahin bawar
jo aasman se na hoga habab kar dega
bhalai apni hai sab ki bhalai mein 'beKHud'
kabhi hamein bhi KHuda kaamyab kar dega
Ghazal
Hijab dur tumhaara shabab kar dega
Bekhud Dehlvi