اردو हिंदी
Hijab ban ke wo meri nazar mein rahta hai | Shaahi Shayari
hijab ban ke wo meri nazar mein rahta hai

Ghazal

Hijab ban ke wo meri nazar mein rahta hai

Chandra Parkash Jauhar Bijnauri

;

hijab ban ke wo meri nazar mein rahta hai
mujhi se parda hai mere hi ghar mein rahta hai

kabhi kisi ka tajassus kabhi KHud apni talash
ajib dil hai hamesha safar mein rahta hai

jise KHayal se chhute hue bhi Darta hun
ek aisa husn bhi meri nazar mein rahta hai

jise kisi se koi wasta nahin hota
sukun ke sath wahi apne ghar mein rahta hai

jis ek lamhe se sadiyan badalti jati hain
wo ek lamha musalsal safar mein rahta hai

tamam shahr ko hai jis pe naz ai 'jauhar'
ek aisa shaKHs hamare nagar mein rahta hai