اردو हिंदी
Hifz-e-gul ke liye rakhte jo nigahban kuchh aur | Shaahi Shayari
hifz-e-gul ke liye rakhte jo nigahban kuchh aur

Ghazal

Hifz-e-gul ke liye rakhte jo nigahban kuchh aur

Ehsan Ali Khan

;

hifz-e-gul ke liye rakhte jo nigahban kuchh aur
ho gaya phulon se mahrum gulistan kuchh aur

luT ke sahme hue paudon ne ye sargoshi ki
ab nigahbanon pe rakkhenge nigahban kuchh aur

shahr-e-dil kuchh to saja len ki bharam rah jae
husn-e-fateh ko hain taraj ke arman kuchh aur

waqt har sans ke badle mein pasina mange
dil ye chahe ki ho aasan bhi aasan kuchh aur

shahr se phir koi wahshi idhar aaya shayad
aaj sahra mein hain andaz-e-ghazalan kuchh aur

jin ko mashshatgi-e-zulf ka dawa tha bahut
kar gae gesu-e-geti wo pareshan kuchh aur

phir kabhi ho ki na ho milne ki surat paida
chand saat hi chale mahfil-e-yaran kuchh aur

kuchh na hone pe bahut kuchh hai mayassar 'ahsan'
kash hote tere mamure mein insan kuchh aur