hichkiyan leta hua duniya se diwana chala
jaan-kani ke waqt bhi tera hi afsana chala
main junun-e-ishq mein jaane kahan tak aa gaya
shahr ke har moD se patthar judagana chala
KHun ki gardish mein shamil ho gai dil ki umang
ku-e-qatil ki taraf be-iKHtiyarana chala
mausam-e-gul zard hai KHun-e-tamanna ke baghair
naqd-e-jaan le kar chaman mein sarfaroshana chala
maut ke sae mein 'tariq' aarzu ki dhup thi
karobar-e-zindagi be-e'tibarana chala
Ghazal
Hichkiyan leta hua duniya se diwana chala
Shamim Tariq