اردو हिंदी
Hazrat-e-dil ye ishq hai dard se kasmasae kyun | Shaahi Shayari
hazrat-e-dil ye ishq hai dard se kasmasae kyun

Ghazal

Hazrat-e-dil ye ishq hai dard se kasmasae kyun

Bekhud Dehlvi

;

hazrat-e-dil ye ishq hai dard se kasmasae kyun
maut abhi se aae kyun jaan abhi se jae kyun

ishq ka rutba hai baDa ishq KHuda se ja mila
aap ne kya samajh liya aap ye muskurae kyun

mera ghalat gila sahi zulm-o-jafa rawa sahi
naz-e-sitam baja sahi aankh koi churae kyun

tujh se ziyaada naznin is mein hazaron hain hasin
dil hai ye aaina nahin samne tere aae kyun

aashiq-e-na-murad ko is ki raza pe chhoD do
is ki agar KHushi na ho gham se najat pae kyun

hausla-e-sitam baDhe tegh-o-sinan ka dam baDhe
ek hi tir-e-naz mein kijiye hae hae kyun

'ghaalib'-e-KHush-bayan kahan 'beKHud'-e-KHasta-jaan kahan
taba ka imtihan kahan shad mujhe satae kyun