hazin tum apni kabhi waza bhi sanwaroge
qamis KHud hi giregi to phir utaroge
KHala-nawardo bahut zarre intizar mein hain
jahaz kaun sa patal mein utaroge
utar ke niche kabhi mere sath bhi to chalo
buland khiDkiyon se kab talak pukaroge
wo waqt aaega ai mere apne sang-zanon
mahakte phulon ke gajre bhi mujh pe waroge
nikal rahi hai agar tirgi to kya tum log
sahar ke waqt charaghon ki lau ubhaaroge
tumhein qalam ko lahu mein Dubona aata hai
'hazin' zarur tumhi sher ko nikhaaroge
Ghazal
Hazin tum apni kabhi waza bhi sanwaroge
Hazin Ludhianvi