hazin hai bekas-o-ranjur hai dil
mohabbat par magar majbur hai dil
tumhaare nur se mamur hai dil
ajab kya hai ki rashk-e-tur hai dil
tumhaare ishq se masrur hai dil
abhi tak mast hai maKHmur hai dil
kiya hai yaad us yaad-e-jahan ne
ilahi kis qadar masrur hai dil
bahut chaha na jaen tere dar par
magar kya kijiye majbur hai dil
faqiri mein use hasil hai shahi
tumhaare ishq par maghrur hai dil
tere jalwe ka hai jis din se maskan
jawab-e-jalwa-gah-e-tur hai dil
do-alam ko bhula den kyun na 'aKHtar'
ki us ki yaad se mamur hai dil
Ghazal
Hazin hai bekas-o-ranjur hai dil
Akhtar Shirani