اردو हिंदी
Hazaron tarah apna dard hum usko sunate hain | Shaahi Shayari
hazaron tarah apna dard hum usko sunate hain

Ghazal

Hazaron tarah apna dard hum usko sunate hain

Aasi uldani

;

hazaron tarah apna dard hum us ko sunate hain
magar taswir ko har haal mein taswir pate hain

bujha de ai hawa-e-tund madfan ke charaghon ko
siyah-baKHti mein ye ek bad-numa dhabba lagate hain

murattab kar gaya ek ishq ka qanun duniya mein
wo diwane hain jo majnun ko diwana batate hain

usi mahfil se main rota hua aaya hun ai 'asi'
ishaare mein jahan lakhon muqaddar badle jate hain