اردو हिंदी
Hazaron sal chalne ki saza hai | Shaahi Shayari
hazaron sal chalne ki saza hai

Ghazal

Hazaron sal chalne ki saza hai

Anjum Ludhianvi

;

hazaron sal chalne ki saza hai
bata ai waqt tera jurm kya hai

ujala kaam par hai pau phaTe se
andhera chain se soya hua hai

hawa se laD rahe bujhte diye ne
hamara zehn raushan kar diya hai

wo suraj ke gharane se hai lekin
falak se chandni barsa raha hai

badan par raushni oDhi hai sab ne
andhera ruh tak phaila hua hai

suna hai aur ek bhuka bhikari
KHuda ka nam lete mar gaya hai

wahi hum hain nai shaklon mein 'anjum'
wahi sadiyon purana rasta hai