hazaron lakhon dilli mein makan hain
magar pahchanne wale kahan hain
kahin par silsila hai koThiyon ka
kahin girte khanDar hain naliyan hain
kahin hansti chamakti suraten hain
kahin miTti hui parchhaiyan hain
kahin aawaz ke parde paDe hain
kahin chup mein kai sargoshiyan hain
qutub-sahib khaDe hain sar jhukae
qile par gidh bahut hi shadman hain
are ye kaun si saDken hain bhai
yahan to laDkiyan hi laDkiyan hain
likha milta hai diwaron pe ab bhi
to kya ab bhi wahi bimariyan hain
hawalon par hawale de rahe hain
ye sahab to kitabon ki dukan hain
mere aage mujhi ko koste hain
magar kya kijiye ahl-e-zaban hain
dikhaya ek hi dilli ne kya kya
bura ho ab to do do dilliyan hain
yahan bhi dost mil jate hain 'alwi'
yahan bhi doston mein talKHiyan hain
Ghazal
Hazaron lakhon dilli mein makan hain
Mohammad Alvi