hazaron bar kah kar bewafa ko ba-wafa main ne
bataya hai zamane ko wafa ka rasta main ne
baDi izzat se ahl-e-jurm mera nam lete hain
gunahgaron ko ek din kah diya tha parsa main ne
tum apne aap ko kuchh bhi kaho mazhab ke diwano
na dekha koi tum jaisa KHuda-na-ashna main ne
jala kar zulmat-e-baatil mein haq ki mishalen yaro
zamane ko banaya hai haqiqat-ashna main ne
gharaz dair o haram se hai na matlab hai kalisa se
jahan jalwa nazar aaya tera sajda kiya main ne
bahut hi mo'tabar hun kyun ki main rahi hun ai 'rahi'
qasam le lo agar KHud ko kaha ho rahnuma main ne
Ghazal
Hazaron bar kah kar bewafa ko ba-wafa maine
Divakar Rahi