اردو हिंदी
Hazar waqt ke partaw-nazar mein hote hain | Shaahi Shayari
hazar waqt ke partaw-nazar mein hote hain

Ghazal

Hazar waqt ke partaw-nazar mein hote hain

Aziz Hamid Madni

;

hazar waqt ke partaw-nazar mein hote hain
hum ek halqa-e-wahshat-asar mein hote hain

kabhi kabhi nigah-e-ashna ke afsane
usi hadis-e-sar-e-rahguzar mein hote hain

wahi hain aaj bhi us jism-e-naznin ke KHutut
jo shaKH-e-gul mein jo mauj-e-guhar mein hote hain

khula ye dil pe ki tamir-e-baam-o-dar hai fareb
bagule qalib-e-diwar-o-dar mein hote hain

guzar raha hai tu aankhen chura ke yun na guzar
ghalat-bayan bhi bahut rah-guzar mein hote hain

qafas wahi hai jahan ranj-e-nau-ba-nau ai dost
nigah-dari ehsas par mein hote hain

sirisht-e-gul hi mein pinhan hain sare naqsh-o-nigar
hunar yahi to kaf-e-kuza-gar mein hote hain

Tilism-e-KHwab-e-zuleKHa o dam-e-barda-farosh
hazar tarah ke qisse safar mein hote hain