hazar shukr ki andesha-e-maal gaya
koi kisi se jo kahne ko dil ka haal gaya
kahan kahan nahin donon ko dastaras hasil
wahin nigah bhi pahunchi jahan KHayal gaya
jawab mein na khulen lab to kya ilaj us ka
hansi hansi mein koi meri baat Tal gaya
ajab thin falsafi-e-na-murad ki baaten
yaqin ke sath mere dil mein shak bhi Dal gaya
qadam qadam pe hue hosh gum 'munawar' ke
talash-e-dost ka sauda gaya KHayal gaya
Ghazal
Hazar shukr ki andesha-e-maal gaya
Munawwar Lakhnavi