اردو हिंदी
Hazar sharm karo wasl mein hazar lihaz | Shaahi Shayari
hazar sharm karo wasl mein hazar lihaz

Ghazal

Hazar sharm karo wasl mein hazar lihaz

Parveen Umm-e-Mushtaq

;

hazar sharm karo wasl mein hazar lihaz
na nibhne dega dil-e-zar o be-qarar lihaz

na gudgudao mujhe main bhi tum ko chheDunga
main kar chuka hun tumhaara hazar bar lihaz

naqab uThne ki jurat kahin na kar baiThe
baDhae kyun dil-e-muztar ka iztirar lihaz

sharab pi chuke be-chaare ko ijazat do
khaDa hai der se ruKHsat ko ai nigar lihaz

main madh-sanj hun dil se tere talawwun ka
na paedar hai ulfat na paedar lihaz

batao to ye rahega visal mein kab tak
hamare hath ke badle gale ka haar lihaz

karen jo aap tajahul to kyun na samjhaun
kare huzur kahan tak wafa-shiar lihaz

wo apne sar ko zara bhi uTha nahin sakte
jhuki hui hai jo gardan to hai sawar lihaz

jo un se puchho to un ke KHilaf hai shoKHi
jo hum se puchho to hum ko hai nagawar lihaz

takalluf uThte hi 'parwin' wo KHub khul khele
hua hai shoKHiyon se kitna be-wiqar lihaz