hazar shama farozan ho raushni ke liye
nazar nahin to andhera hai aadmi ke liye
talluqat ki duniya bhi aadmi ke liye
ek ajnabi sa tasawwur hai ajnabi ke liye
chaman chaman hai mohabbat jahan jahan se jamal
ye ehtimam hai ek dil ki zindagi ke liye
shab-e-nashat mubarak tujhe ye mah-o-nujum
sahar bahut hai meri kam-sitargi ke liye
nigah-e-dost salamat ki faiz-e-girya se
bahut guhar hain mere daman-e-tahi ke liye
nigah-e-mast ki sahba Tapak rahi hai 'nushur'
ghazal kahi hai tabiat ki sarKHushi ke liye
Ghazal
Hazar shama farozan ho raushni ke liye
Nushur Wahidi