hazar sahra the raste mein yar kya karta
jo chal paDa tha to fikr-e-ghubar kya karta
kabhi jo Thik se KHud ko samajh nahin paya
wo dusron pe bhala e'tibar kya karta
chalo ye mana ki izhaar bhi zaruri hai
so ek bar kiya, bar bar kya karta
isi liye to dar-e-aina bhi wa na kiya
jo so rahe hain unhen hoshiyar kya karta
wo apne KHwab ki tafsir KHud na kar paya
jahan bhar pe use aashkar kya karta
agar wo karne pe aata to kuchh bhi kar jata
ye soch mat ki akela sharar kya karta
siwae ye ki wo apne bhi zaKHm taza kare
mere ghamon pe mera gham-gusar kya karta
bas ek phul ki KHatir bahaar mangi thi
ruton se warna main qaul-o-qarar kya karta
mera lahu hi kahani ka rang tha 'jawwad'
kahani-kar use rang-dar kya karta
Ghazal
Hazar sahra the raste mein yar kya karta
Jawad Sheikh