hazar rang ye wahshat qadam qadam pe khuli
ki zindagi ki haqiqat qadam qadam pe khuli
mere wajud ka uqda kabhi bhi khul na saka
mere KHayal ki wusat qadam qadam pe khuli
siraat-e-jaan pe hamesha safar talab hi rahe
masafaton se aqidat qadam qadam pe khuli
wafa ki rah mein chup-chap chalte rahne se
gurez-kosh mohabbat qadam qadam pe khuli
dayar-e-ishq mein hum par karam kuchh aise hua
visal-e-gham ki suhulat qadam qadam pe khuli
wo ek lafz ki jis par badal gaya lahja
us ek lafz ki shiddat qadam qadam pe khuli
tamam-umr sarabon ki justuju mein kaTi
kabhi na thi jo zarurat qadam qadam pe khuli
Ghazal
Hazar rang ye wahshat qadam qadam pe khuli
Salman Sarwat