hazar rang jalal-o-jamal ke dekhe
wo marke tere husn-e-KHayal ke dekhe
samajh mein aane laga maqsad-e-hayat-o-mamat
wo zawiye tere hijr o visal ke dekhe
har ek gham hai tar-o-taza pahle din ki tarah
amanaten koi yun bhi sambhaal ke dekhe
faza na bujhne lage is KHayal se akasr
dil o nigah ke raste ujal ke dekhe
nagar bhi aur khanDar bhi nazar mein rahte hain
ajib daur uruj-o-zawal ke dekhe
ki rashk aane laga apni be-kamali par
kamal aise bhi ahl-e-kamal ke dekhe
na chashm ishaare se waqif na lab ka harf se rabt
kuchh aise silsile bhi qil-o-qal ke dekhe
zamin zamin na rahi aur falak falak na raha
kuchh aise marhale bhi arz-e-haal ke dekhe
koi sadi bhi hai pal aur koi pal bhi sadi
kuchh aise fasle bhi mah-o-sal ke dekhe
hui zamin kabhi rakh to kabhi gharqab
kuchh aise hausle bhi barshgal ke dekhe
ajib shart hai in manzaron ki ai 'ruhi'
ki apni aankhen koi KHud nikal ke dekhe
Ghazal
Hazar rang jalal-o-jamal ke dekhe
Roohi Kanjahi