hazar koshish-e-paiham ke bawajud hamein
tamam umr koi dost ba-wafa na mila
kahan ka wasl mulaqat hi ghanimat hai
phir us ke baad wo hum se mila mila na mila
wo jis ko hum ne zamane se baDh ke chaha tha
us ek shaKHs ki chahat mein kuchh maza na mila
teri judai ke sahra mein kho gae aise
suragh apna kahin aur kahin pata na mila
ye kaenat ki be-rang hoti jati hai
jo dil ka rang dikhati wo aaina na mila
talashte rahe kanTon mein phul se paikar
mizaj hum ko azal se hi aashiqana mila
tamam umr hi raston ki KHak chhani hai
hamein to manzil-e-hasti tera pata na mila
hamein jo rah dikhata qadam qadam pe 'nabil'
misal-e-KHizr koi aisa rahnuma na mila
KHud aap apne muqabil mein aa gae hain 'nabil'
hamein mizaj mila bhi to baghiyana mila
Ghazal
Hazar koshish-e-paiham ke bawajud hamein
Nabeel Ahmad Nabeel