اردو हिंदी
Hazar KHwab liye ji rahi hain sab aankhen | Shaahi Shayari
hazar KHwab liye ji rahi hain sab aankhen

Ghazal

Hazar KHwab liye ji rahi hain sab aankhen

Indira Varma

;

hazar KHwab liye ji rahi hain sab aankhen
tere bina hain magar meri be-sabab aankhen

Bearing a thousand dreams, these eyes live on
But without you,mine are reasonless eyes

chamakte chand sitaro gawah tum rahna
lagi rahi hain falak se tamam shab aankhen

You bright moon and stars, be my witness
Gazing skywards all night have been these eyes

tumhaare samne rahti hain nim-wa hamdam
Haya-shanas bahut hain ye ba-adab aankhen

In front of you they remain half open
How courteous and bashful they are, these eyes

bas ek did ki hasrat saja ke palkon par
milengi tum se KHayalon mein be-talab aankhen

With only the desire to see you adorning the eyelashes
They will meet you in thoughts, these desireless eyes

sila diya hai mohabbat ka tum ne ye kaisa
masarraton mein bhi rone lagi hain ab aankhen

What is this reward you have given for loving you
Even in the midst of happiness they cry, these eyes