hazar KHauf ho lekin zaban ho dil ki rafiq
yahi raha hai azal se qalandaron ka tariq
hujum kyun hai ziyaada sharab-KHane mein
faqat ye baat ki pir-e-mughan hai mard-e-KHaliq
ilaj-e-zof-e-yaqin in se ho nahin sakta
gharib agarche hain 'raazi' ke nukta-ha-e-daqiq
murid-e-sada to ro ro ke ho gaya taib
KHuda kare ki mile shaiKH ko bhi ye taufiq
usi tilism-e-kuhan mein asir hai aadam
baghal mein us ki hain ab tak butan-e-ahd-e-atiq
mere liye to hai iqrar-e-bil-lisan bhi bahut
hazar shukr ki mulla hain sahib-e-tasdiq
agar ho ishq to hai kufr bhi musalmani
na ho to mard-e-musalman bhi kafir o zindiq
Ghazal
Hazar KHauf ho lekin zaban ho dil ki rafiq
Allama Iqbal