اردو हिंदी
Hazar KHak ke zarron mein mil gaya hun main | Shaahi Shayari
hazar KHak ke zarron mein mil gaya hun main

Ghazal

Hazar KHak ke zarron mein mil gaya hun main

Hadi Machlishahri

;

hazar KHak ke zarron mein mil gaya hun main
maal-e-shauq hun aaina-e-wafa hun main

kahan ye wusat-e-jalwa kahan ye dida-e-tang
kabhi tujhe kabhi apne ko dekhta hun main

shahid-e-ishq ke jalwe ki intiha hi nahin
hazar rang se aalam mein ru-numa hun main

mera wajud haqiqat mera adam dhoka
fana ki shakl mein sar-chashma-e-baqa hun main

hai teri aankh mein pinhan mera wajud o adam
nigah pher le phir dekh kya se kya hun main

mera wajud bhi tha koi chiz kya malum
is e'tibar se pahle hi miT chuka hun main

shumar kis mein karun nisbat-e-haqiqi ko
KHuda nahin hun magar mazhar-e-KHuda hun main

mera nishan nigah-e-haq-nagar pe hai mauquf
na KHud-shanas hun 'hadi' na KHud-numa hun main