hazar ham-safaron mein safar akela hai
ye intishaar ki ek ek bashar akela hai
gulu-burida sabhi hain magar zah-e-tauqir
buland nok-e-sinan par ye sar akela hai
na pattiyan hain na phal-phul phir bhi chhanw to dekh
suna tha main ne ki gham ka shajar akela hai
ye bhiD KHak dikhaegi shan-e-be-jigari
ye us ka haq hai jo sina-sipar akela hai
lipaT ke ruh se kahta raha badan kal raat
na jao chhoD ke mujh ko ki ghar akela hai
mata-e-qalb-o-jigar kis ko saunp dun 'saghar'
hujum-e-be-hunari mein hunar akela hai
Ghazal
Hazar ham-safaron mein safar akela hai
Saghar Mehdi