اردو हिंदी
Hazar haif chhuTa sath ham-nashinon ka | Shaahi Shayari
hazar haif chhuTa sath ham-nashinon ka

Ghazal

Hazar haif chhuTa sath ham-nashinon ka

Shad Azimabadi

;

hazar haif chhuTa sath ham-nashinon ka
makan to hai pe Thikana nahin makinon ka

khila jo bagh mein ghuncha sitara-dar khila
gulon ne naqsh utara hai mah-jabinon ka

hai apni apni tabiat pe husn-e-shai mauquf
main kyun hun banda-e-be-dam un hasinon ka

nazar ka kya hai bharosa nazar pe hain parde
KHayal arsh pe jata hai dur-binon ka

zamin-e-shor ho ya ho zamin-e-sher ai dil
nahin hai koi KHaridar in zaminon ka

bahisht-e-dahr hai apna watan KHuda ki qasam
juda juda hai tarana sabhi mahinon ka

kisi ko man liya dil ne jab to man liya
na daKHl do yahi maslak hai KHush-yaqinon ka

jo ho musawwir-e-fitrat misal kya us ki
guman na chahiye insan pe aabginon ka

zara nikal ke to duniya se dekh ai insan
pata na din ka na andaz hai mahinon ka

sikha diya mujhe bach bach ke rasta chalna
KHuda bhala kare ai 'shad' nukta-chinon ka