hazar hadsat-e-gham rawan-dawan liye hue
kahan chali hai zindagi kashan kashan liye hue
mere nasib ki ye zulmaten na miT sakin kabhi
koi guzar gaya hazar kahkashan liye hue
ye zindagi badalte mausamon ka rang-rup hai
kabhi bahaar ka saman kabhi KHizan liye hue
mera ye karb hai ki mera karwan guzar gaya
simaT ke rah gaya hun gard-e-karwan liye hue
agar wo jaan-e-arzu mile to us ki nazr ho
khaDa hun kab se muntazir main naqd-e-jaan liye hue
mere waqar ka sawal tha main kuchh na kah saka
guzar gae wo rahaton ka ek jahan liye hue
kisi bhi zawiye se 'arsh' is ko dekhiye magar
qadam qadam pe zindagi hai imtihan liye hue
Ghazal
Hazar hadsat-e-gham rawan-dawan liye hue
Arsh Sahbai