hazar gardish-e-sham-o-sahar se guzre hain
wo qafile jo teri rahguzar se guzre hain
abhi hawas ko mayassar nahin dilon ka gudaz
abhi ye log maqam-e-nazar se guzre hain
har ek naqsh pe tha tere naqsh-e-pa guman
qadam qadam pe teri rahguzar se guzre hain
na jaane kaun si manzil pe ja ke ruk jaen
nazar ke qafile diwar-o-dar se guzre hain
rahil-e-shauq se larzan tha zindagi ka shuur
na jaane kis liye hum be-KHabar se guzre hain
kuchh aur phail gain dard ki kaThin rahen
gham-e-firaq ke mare jidhar se guzre hain
jahan surur mayassar tha jam o mai ke baghair
wo mai-kade bhi hamari nazar se guzre hain
Ghazal
Hazar gardish-e-sham-o-sahar se guzre hain
Sufi Tabassum