hazar bar wo baiTha hazar bar uTha
bacha na shahr mein kuchh bhi to chobdar uTha
azal se ra-nawardi jo thi wo ab bhi hai
abhi chhaTa tha abhi rah mein ghubar uTha
nafas ke tar ki girhen ki kaenat ke KHam
sarab dil mein tha sahra ke aar-par uTha
KHamoshiyon ke takallum ko pujne wala
wahi tha bazm mein aaKHir gunahgar uTha
wo sath tha to muqaddas the mere sare huruf
bichhaD gaya hai to lafzon ka e'tibar uTha

Ghazal
Hazar bar wo baiTha hazar bar uTha
Iqtidar Javed