اردو हिंदी
Hazar bar use nakaamiyon ne samjhaya | Shaahi Shayari
hazar bar use nakaamiyon ne samjhaya

Ghazal

Hazar bar use nakaamiyon ne samjhaya

Masud Husain Khan

;

hazar bar use nakaamiyon ne samjhaya
magar ye dil teri ulfat se baz kab aaya

wahi lagan hai ki chaliye jahan kahin tu ho
wahi chubhan ki mohabbat se hum ne kya paya

khulega raaz ki aanchal ki kya haqiqat hai
kabhi jo sar se mohabbat ke ye Dhalak aaya

gulon ke ghaw bhi shabnam se dhul sake hain kabhi
ki ashk ne mere zaKHmon ko aur mahkaya

wo kya maqam hai daman ki aarzu mein nadim
jahan pe dast-e-tamanna bhi ja ke tharraya

yahan bahaar na jaan-e-bahaar hai 'masud'
kahan se turfa ghazal aaj phir ye kah laya