hazar bar miTi aur paemal hui hai
hamari zindagi tab ja ke be-misal hui hai
isi sabab se to parchhain apne sath nahin hai
saubat-e-safar-e-shauq se niDhaal hui hai
sukun phir bhi to wahshat-sara-e-dil mein nahin hai
nigah-e-yar agarche sharik-e-haal hui hai
KHushi ke lamhe to jun-tun guzar gae hain yahan par
bas ek saat-e-gham kaTni muhaal hui hai
lakir nur ki jo aasman-e-dil pe bani hai
andheri raat ka hamla hua to Dhaal hui hai
Ghazal
Hazar bar miTi aur paemal hui hai
Shahryar