hayat ras na aae ajal bahana kare
tere baghair bhi jina paDe KHuda na kare
main roz marta hun is intizar ke sadqe
bura na man agar zindagi wafa na kare
hum ek ho gae do din mein kis tarah allah
yahi dua hai koi tisra juda na kare
manaya jashn-e-shab-e-gham ki ek din to kaTa
jo tujh se chhuT ke jita rahe wo kya na kare
main apni raushni-e-taba se larazta hun
mera junun mujhe manzil se aashna na kare
main kya bataun ki qurbat ka fasla kya hai
ki jaise ghar to banae koi raha na kare
Ghazal
Hayat ras na aae ajal bahana kare
Shaz Tamkanat