اردو हिंदी
Hayat-o-maut ka ek silsila hai | Shaahi Shayari
hayat-o-maut ka ek silsila hai

Ghazal

Hayat-o-maut ka ek silsila hai

Basit Bhopali

;

hayat-o-maut ka ek silsila hai
mohabbat intiha tak ibtida hai

main kya jaanun ki bab-e-tauba kya hai
abhi to mai-kade ka dar khula hai

zara phir dil pe nazren Dal dije
charagh-e-arzu KHamosh sa hai

ata kar di tumhaari aarzu ne
wo ek duniya jo duniya se juda hai

hasin hon lakh duniya ke manazir
wo kya dekhe jo tum ko dekhta hai

nazar ke sath nazzara bhi gum hai
dil-e-muztar ye kis ka samna hai

mere dil ko na rakh be-rang saqi
ki har saghar gulabi ho raha hai

na dozaKH hai na jannat hai to 'basit'
mere aamal-e-gham ka kya sila hai