hayat-o-kaenat par kitab likh rahe the hum
jahan jahan sawab tha azab likh rahe the hum
hamari tishnagi ka gham raqam tha mauj mauj par
samundaron ke jism par sarab likh rahe the hum
sawal tha ki justuju azim hai ki aarzu
so yun hua ki umr bhar jawab likh rahe the hum
sulagte dasht, ret aur babul the har ek su
nagar nagar, gali gali gulab likh rahe the hum
zamin ruk ke chal paDi, charagh bujh ke jal gae
ki jab adhure KHwabon ka hisab likh rahe the hum
mujhe batana zindagi wo kaun si ghaDi thi jab
KHud apne apne waste azab likh rahe the hum
chamak uTha har ek pal, mahak uThe qalam dawat
kisi ke nam dil ka intisab likh rahe the hum
Ghazal
Hayat-o-kaenat par kitab likh rahe the hum
Aziz Nabeel