hayat mein bhi ajal ka saman dikhai de
wahi zamin wahi aasman dikhai de
qadam zamin se juda hain nazar manazir se
gharib-e-shahr ko shahr aasman dikhai de
tamam shahar mein be-chehragi ka aalam hai
jise bhi dekhiye gard aur dhuan dikhai de
ek ek shaKHs hujum-e-rawan mein tanha hai
ek ek shaKHs hujum-e-rawan dikhai de
kabhi suno to makinon ka girya-e-sahari
lahuluhan sa ek ek makan dikhai de
makin hun main ki musafir ye dasht hai ki dayar
qayam mein bhi safar ka saman dikhai de
darun-e-dil ho ki bairun-e-dil safar apna
kahin lahad kahin KHali makan dikhai de
wo dhup hai ki sulagta hai saya paon tale
KHamir-e-KHak bhi aag aur dhuan dikhai de
hai jism shoala hi shoala to jaan hai pyas hi pyas
aur apna saya sarab-e-tapan dikhai de
main kis taraf ko baDhun aasman hai na zamin
main jis taraf bhi chalun KHauf-e-jaan dikhai de
zamin hai ki falak panw kis jagah hain nadim!
mujhe bata, mujhe sab kuchh dhuan dikhai de
sab apne dard ke dozaKH mein jal rahe hain 'shahab'
magar zamin hamein jannat-nishan dikhai de
Ghazal
Hayat mein bhi ajal ka saman dikhai de
Shahab Jafri