اردو हिंदी
Hayat kya hai maal-e-hayat kya hoga | Shaahi Shayari
hayat kya hai maal-e-hayat kya hoga

Ghazal

Hayat kya hai maal-e-hayat kya hoga

Nau Bahar Sabir

;

hayat kya hai maal-e-hayat kya hoga
tu is pe ghaur karega to gham-zada hoga

sambhal sambhal ke jo yun pattharon pe chalta hai
zarur us ki hifazat mein aaina hoga

jo kah raha ki nind uD gai hai aankhon se
ye shaKHs pahle bahut KHwab dekhta hoga

suna kiya jo mera haal is tawajjoh se
wo ajnabi bhi kisi gham mein mubtala hoga

kisi ke rabt-o-tashshuq pe itna naz na kar
hina ka rang hai do roz mein hawa hoga

jawan hota to pagal hawa se laDta bhi
daraKHt tha wo purana ukhaD gaya hoga

ye KHisht KHisht bikharta hua khanDar 'sabir'
kabhi na jaane ye kis ka mahal-sara hoga