hayat ki be-ruKHi nai hai na apni kam-maegi nai hai
phir aaj jazbaat-e-gham ki maujon mein kaisi ye bekali nai hai
na jaane harf-e-talab hai nadim ki be-zabani zaban hai apni
dhaDak raha hai dil-e-tamanna ki manzil-e-ashiqi nai hai
wahi hai jada wahi safar hai wahi hai manzar wahi nazar hai
magar ba-andaz-e-ashnai hamari waraftagi nai hai
zawal-e-hasti ke nauha-KHwan the koi hamari zaban na samjha
bujhe hain sinon mein dil sabhi ke ki apni aashuftagi nai hai
jo harf dil par raqam kiye the wo le uDen yas ki hawaen
ab is bayaban-e-arzu mein hamari bechaargi nai hai
na koi dard-ashna na hamdam na koi soz-e-darun ka mahram
hamein yahan ajnabi hain jaane ki sari duniya nai nai hai
main naqd-e-jaan tak luTa chuki thi nafas mein shoale jala chuki thi
tilism-e-KHwab ab kahan se aaya ye manzil-e-be-KHudi nai hai
Ghazal
Hayat ki be-ruKHi nai hai na apni kam-maegi nai hai
Sajida Zaidi