hayat ek saz-e-be-sada thi surud-e-umr-e-rawan se pahle
bashar ki taqdir so rahi thi KHata-e-bagh-e-jinan se pahle
nazar ne ki nazr-e-ruh-o-dil pesh-e-lab pe shor-e-fughan se pahle
ada hua sajda-e-mohabbat KHarosh-e-bang-e-azan se pahle
badal gaya ishq ka zamana kahan se pahuncha kahan fasana
unhen bhi mujh par zaban aai wahi jo the be-zaban se pahle
kise KHabar thi ki ban ke barq-e-ghazab girega yahi chaman par
wo husn jo muskura raha tha naqab-e-abr-e-rawan se pahle
sitam to shayad main bhul jata agar ye nashtar chubha na hota
wo ek nigah-e-karam jo ki thi nigah-e-na-mehrban se pahle
nazar hai viran meri to kya gham nazar ke jalwe to hain salamat
na the tum itne hasin meri mohabbat-e-raegan se pahle
teri taraf phir nazar karunga nishat-e-hasti-e-jawidani
KHarid lun lazzat-e-alam kuchh mata-e-umr-e-rawan se pahle
bichhaD gae rah zist mein hum tumhein bhi is ka agar hai kuchh gham
chalen wahin se phir aao baham chale the hum tum jahan se pahle
qafas ki lohe ki tiliyan ab unhin ki zarbon se KHun-chakan hain
yahi jo the muntashir se tinke tasawwur-e-ashiyan se pahle
chaman mein hansne se phir na rokunga ghuncha-e-sada-lauh tujh ko
magar zara aashna to ho ja tabiat-e-baghban se pahle
nazar ke shoale dilon mein ek aag har do jaanib laga chuke hain
bas ab to ye rah gaya hai baqi ki lau uThegi kahan se pahle
na DhunDo 'mulla' ko karwan mein phirega sahra mein wo akela
kisi sabab se jo ta-ba-manzil na aa saka karwan se pahle
Ghazal
Hayat ek saz-e-be-sada thi surud-e-umr-e-rawan se pahle
Anand Narayan Mulla