hayat hai ki musalsal safar ka aalam hai
har ek sans mein wahshi ghazal ka ram hai
jahan azal se ghaTa-Top zulmaten hain muhit
wahan bhi aaj farozan nigah-e-adam hai
unhin ke KHun se damkega kal ruKH-e-giti
hayat jin ke liye aaj saghar-e-sam hai
usi ki aanch se pighlega zindagi ka jumud
jo soz aaj ba-zahir dilon mein kam kam hai
jahan-e-soz hai mere KHunuk taranon mein
main wo sharar hun jis par rida-e-shabnam hai
na jaane jag uThe 'shad' kab nasib-e-jahan
bahut dinon se mizaj-e-hayat barham hai
Ghazal
Hayat hai ki musalsal safar ka aalam hai
Naresh Kumar Shad