اردو हिंदी
Hayat-e-soKHta-saman ek istiara-e-sham | Shaahi Shayari
hayat-e-soKHta-saman ek istiara-e-sham

Ghazal

Hayat-e-soKHta-saman ek istiara-e-sham

Ain Tabish

;

hayat-e-soKHta-saman ek istiara-e-sham
chamak chamak ke bujha hai koi sitara-e-sham

kisi ko faeda-e-sham-e-KHush-KHisal mila
kisi ke hisse mein likkha gaya KHasara-e-sham

bujha rahe hain charag-e-shaguftagi-e-bahaar
samajh chuke hain bahut hum bhi ye ishaara-e-sham

isi qadar hai hayat-o-ajal ke bich ka farq
ye ek dhup ka dariya wo ek kinara-e-sham

junun ki bazm saji hai isi ke sae mein
ki hum to girne nahin denge ye manara-e-sham