hayat-e-la-ubaali mujh ko 'farhat' sazgar aai
ki istighna mein ishrat be-niyaz-e-iztirar aai
sitam ki rah se jab bewafai kaamgar aai
to phir rah-e-mohabbat se wafa kyun sogwar aai
fareb-e-yak tabassum se qaba-e-gul hai sad-para
shagufon ke liye kya kya bharam le kar bahaar aai
meri qismat mujhe manzil pe ab lai to kya hasil
jo din the zindagi ke wo to raste mein guzar aai
ye kya andaz-e-qassam-e-azal tha kya nawazish thi
mere hissa mein le de kar hayat-e-mustaar aai
tahi kashkol-e-nargis aur hai saghar ba-kaf lala
ye kis andaz se ab ke bahaar-e-kam-ayar aai
mere kaam-o-dahan ki aazmaish ke liye shayad
mai-e-do-atisha paiham ba-rang-e-nur-o-nar aai
hui tauq-o-salasil ko hamare jab kabhi jumbish
sada-e-rast-gari hum ko 'farhat' bar bar aai

Ghazal
Hayat-e-la-ubaali mujhko farhat sazgar aai
Prem Shankar Goila Farhat