hayat di to use gham ka silsila bhi kiya
qaza ke sath qadar ko meri saza bhi kiya
usi ne dar-ba-dari ko nai talash bhi di
bura to us ne kya hi magar bhala bhi kiya
baghair mange hi dena hai shan-e-maulai
mera waqar bhi rakkha mujhe ata bhi kiya
tazad us ki mohabbat ka main hi jaanta hun
jalaya dhup mein aanchal ka aasra bhi kiya
ajib tarah ki hai shan-e-dilbari 'azar'
ki mujh se KHush bhi raha aur mujhe KHafa bhi kiya
Ghazal
Hayat di to use gham ka silsila bhi kiya
Rashid Aazar