اردو हिंदी
Hayat DhunDh raha hun qaza ki rahon mein | Shaahi Shayari
hayat DhunDh raha hun qaza ki rahon mein

Ghazal

Hayat DhunDh raha hun qaza ki rahon mein

Badnam Nazar

;

hayat DhunDh raha hun qaza ki rahon mein
panah mangne aaya hun be-panahon mein

badan mummy tha nazar barf sans kafuri
tamam raat guzari hai sard banhon mein

ab un mein shoale jahannam ke raqs karte hain
base the kitne hi firdaus jin nigahon mein

bujhi jo raat to apni gali ki yaad aai
ulajh gaya tha main rangin shah-rahon mein

na jaane kya hua apna bhi ab nahin hai wo
jo ek umr tha duniya ke KHair-KHwahon mein

meri talash ko jis ilm se qarar aae
na KHanqahon mein pai na dars-gahon mein