haya girti hui diwar thi kal shab jahan main tha
nazar uThna bahut dushwar thi kal shab jahan main tha
jinhen saDi mein aana tha wo patlunon mein aain thin
tamiz-e-mard-o-zan dushwar thi kal shab jahan main tha
nazar ke kofte ruKH ke paraThe wasl ke sharbat
mukammal dawat-e-didar thi kal shab jahan main tha
zuleKHaen ba-zid thin ek yusuf ke liye yaro
baDi hi garmi-e-bazar thi kal shab jahan main tha
plus-sewen ka chashma fiT kiye the dida-war sare
nazar apni bhi numbar-dar thi kal shab jahan main tha
thirakne nachne Thumke lagane ke the sab mahir
saqafat bar-sar-e-paikar thi kal shab jahan main tha
kisi farhad ko hajat na thi tesha uThane ki
har ek shirin-bayan talwar thi kal shab jahan main tha
Ghazal
Haya girti hui diwar thi kal shab jahan main tha
Ameerul Islam Hashmi