اردو हिंदी
Haya-e-ruh gul-eazaz bhi hai | Shaahi Shayari
haya-e-ruh gul-eazaz bhi hai

Ghazal

Haya-e-ruh gul-eazaz bhi hai

Jauhar Zahiri

;

haya-e-ruh gul-eazaz bhi hai
shuur-e-zindagi ka raaz bhi hai

mohabbat raaz-andar-raaz bhi hai
kahin ye soz bhi hai saz bhi hai

use kaise na dil de dun ki jis mein
wafa bhi husn bhi andaz bhi hai

rah-e-ishq-o-wafa mein zindagani
tarana bhi hai soz-o-saz bhi hai

mohabbat mein na dekh anjam ai dil
ye ek be-intiha aaghaz bhi hai

tabassum hi nahin ghaarat-gar-e-dil
bala-e-jaan KHiram-e-naz bhi hai

dil-e-'jauhar' hai ek aashiq ki duniya
ki ye pamal-e-husn-o-naz bhi hai